HELLMARK Ch 5 --- The Truth Within Pages
HELLMARK Chapter 5 – The Truth Within Pages Subah ke waqt, Riven apne kamre me baitha hua hai. Book table par rakhi hai, aur uske haath uske cover ke upar hain. Par jaise hi wo page kholne lagta hai, door par zor ka knock hota hai — Arin wahan hota hai. Arin kehte hai, "Riven! Mujhe sach bata… kal raat main ne sab dekha. Wo jungle, wo symbols, aur… tum Kael ke ghar me kya kar rahe the?" Riven halki si sigh karta hai, "Sach kahun, Arin… Main bhi nahi jaanta main kya hoon. Aur kal raat jo maine bola, mujhe yaad bhi nahi hai." Arin confused ho jata hai. Riven book ko uthata hai aur kehta hai, "Par mujhe itna pata hai ki iss book me mere saare sawalon ke jawab hain." Dono table ke paas baithte hain aur book kholte hain. Pages halki red glow me chamakne lagte hain, aur ancient symbols dheere-dheere readable words me convert hote hain. First line likhi thi: "The Abyss is not a place. It is a hunger, a darkness that feeds on fear and desire. Those who bear...